Sunday, April 15, 2012

KYA DHUNDHTA HUN MAIN...

KYA DHUNDHTA HUN MAIN........


kya dhundhta hun main...
main sochta hun ye, ki
kya dhundhta hun main..
hai kya jo zindagi ko 
hai adhura kiye hui...
hai kaun si wo shai                       {shai=cheez}
mujhe jiski talash hai..


aisa toh nahi, zindagi mein 
andherey hi miley hain....
nindein bhi mili hain
savere bhi miley hain...
aisa toh nahi har ghadi 
mushkil hi miley  hain.....
aansu bhi miley hain,
mujhe manzil bhi miley  hain...
hain dost bhi miley,
mujhe qatil bhi miley hain...




sab kuch mila hai jab, 
fir, kya dhundhta hu main..
sach mein talash hai , 
ya,ye sab hai bewajah....
pagal hun ho gaya,
ya lalach hai ye mera....




fir ye sochta bhi hun ,
ki insaan hi toh hun....
farishta toh main nahi..
ehsasat hain mujhme, 
aur main sochta bhi hun...
par kafi hai ye dalil kya ,
iss bewajh talash ki....
main sochta hun ye aur,
lambi saans bharta hun..
beete huye kal ko fir
main yaad karta hun..
aur dekhta hu ye ki ,
manzil mili hai jab
main khush toh bahut hua
par mutmaeen nahi......         {mutmaeen=satisfied}
aur fir se lag gaya 
janey kiski talash mein....
main hairan hota hun 
khud se ye sawal karta hun ,
' kya dhundhta hun main'....




hum sochte hain ye 
aur shayad sochte ghalat...
jeet, khushiyan, dosti,
manzilein aur mohabbat...
yehi hain jo zindagi ko
muqammal hain banati...
par, ye baat toh khud mein hi
adhura sa ik sach hai...
insaan ke lalach ka 
aaiena ye sach hai....




haar, gham, dushman,
dilo ka tutna, ye sab...
banati hain zindagi ko,
muqammal, haan ye sab...
ki adhurapan hi zindagi ki
sachhai sabse badi hai
ehsas ye hua toh 
ek himmat si mili hai...




ab khush hun main bahut
par sochta toh hun..
ki, kitna ghalat sawal tha,
' kya dhundhta hun main ?'
lo mil gaya jawab.........
' kyun dhundhta hun main ?'


SHARIQUE  N  HASAN