Wednesday, May 11, 2011

Shayad Sukun Miley...

Qismat ko dekhta hu,apne haath dekhta hu
Hansta hu jab bhi apne halat dekhta hu


Sab kuch diya mujhe bas sukun nahi diya hai
Aye upar wale teri karamat dekhta hu


Cheekh-o-pukaar mein ye din toh guzar jayein
Dil baithne lagta hai jab bhi raat dekhta hu


Majbooriyon pe kisi ke main tanz nahi karta
Jab bhi apni asliyat apni auqat dekhta hu


Hans ke jab bhi koi mujhse haath milata hai 
Lalach mein lipte huye main jazbaat dekhta hu


Main sochta hu main bhi kitna badal gaya hu
Jab aaiene se khud ki mulaqat dekhta hu


Itni buri bhi nahi zindagi ye sochta hu tab
Jab khud ko apne dosto ke saath dekhta hu


Shayad sukun miley 'Sharique' tujhe kabhi
Khwabon mein apne sar pe maa ke haath dekhta hu

Sharique N Hasan

Sunday, May 8, 2011

Na tumne samjha hai..Na tum ye samjhoge



Ghalat kya hai,sahi kya hai
Na tumne samjha hai na tum ye samjhoge
Neki kya hai,badi kya hai
Na tumne samjha hai na tum ye samjhoge

Kyun chhote lag rahe ho
Unchaeeyon ko chhu kar
Falak kya hai,zameen kya hai
Na tumne samjha hai na..............

Sab mil gaya hai tab bhi
Kyun daurte rehte ho
Bahot kya hai,kami kya hai
Na tumne samjha hai na...............

Har waqt zindagi mein 
Kabhi ek sa na hoga
Ye tab kya tha,abhi kya hai
Na tumne samjha hai na..............

Kyu abaad kar ke tujhko
Barbaad hua 'Sharique'
Ke gham kya hai,khushi kya hai
Na tumne samjha hai na.............

Shariuqe N Hasan